Saturday, November 5, 2011

woh bhi koi din the, aur ek yeh din hai

Ghar ka aangan, Maa ke haatho ka khaana,
gali me kanche, chhat par cricket,
khel khel me gande ho ke aana,
sun kar fatkaar, rone lag jaana.

woh bhi koi din the, aur ek yeh din hai

warden se darr darr kar rehna,
dande ki taal par naachna,
Saathi sehpathiyo ke saath khelna kudna
jab din dhale to wohi mess ka ganda khaana

woh bhi koi din the, aur ek yeh din hai

dosto ke saath masti maze karna,
swantantra panchhi ki tarah udna,
jeevan ke safar me, haar jeet ka rona gaana
jab din dhale to, wohi mess ka ganda khaana

woh bhi koi din the, aur ek yeh din hai

anjaan sheher, anjaan gali,
ajnabi log, ajnabi bhasha,
yaha aakar hi hai humne jaana,
purani jindagi hi thi acchi bhali.

Tuesday, August 30, 2011

random boredom

precious moment, precious time
shouldn't be wasted on rhyme
but only hell lotta leisure
is property of mine

no matter what
no matter where
I dun know why
boredom was there

the things I liked
things I enjoyed
sooner or later
I was annoyed

Sunday, August 28, 2011

random

Khuli aankhe rakhke sona,
Chhoti Moti baaton par rona,

Umr ke maan se bade ho gaye hum
par gaya nahi ab tak bachpana

Swapne lok me khoye rehna
Sach me kuchh karne se darna

Ab tak tha sab seekh lena
shayad kismat me na tha seekhna

Umr ke maan se bade ho gaye hum
par gaya nahi ab tak bachpana

Wednesday, August 3, 2011

main aur duniya

Karunga me wohi jo duniya ko bhaaye,
aisi karni laaye pachhtava,

phir bhi karta hun mei wahi

kya pata apne mann ki hi sabko pasand aaye
Kya pata duniya ki soch ko main bhaap naa paaya

phir bhi naa jaane kyun yeh dil ghabraaye.

  © Blogger template Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP