Har Waqt, Har sama,
Sajaate hue Khwabo ka Ashiyaana,
Woh Sapne Dekhta Chala,
Woh Aage badta Chala.
Dheere Dheere Ghar walo se dur,
Dheere dheere apno se door,
Aur fir ek waqt aaya,
Chal pada woh sapno se door,
Ek naya sapna,
Chaha kisi aur ko banana apna,
aur woh apno se dur chal pada
Saajate hue Khwabo ka Ashiyaana
Woh nayee raah dhundhte raha
aur Jingadi se dur chal pada
Kirtan
This was written in five minutes time.. A simple flow of idea without any cross thought... !!
aur haan, meri hindi bahut acchi nahi hai.. agar kuchh galat shabd ka prayog kiya ho to krupaya mujhe bata dijiye.. Bahut bahut Dhanyawad!!