Thursday, December 18, 2008

Har Ghadi, Har sama

Har Waqt, Har sama,
Sajaate hue Khwabo ka Ashiyaana,
Woh Sapne Dekhta Chala,
Woh Aage badta Chala.

Dheere Dheere Ghar walo se dur,
Dheere dheere apno se door,
Aur fir ek waqt aaya,
Chal pada woh sapno se door,

Har ghadi, Har Lamha,

Ek naya sapna,
Chaha kisi aur ko banana apna,
aur woh apno se dur chal pada

Har Ghadi, Har Sama

Saajate hue Khwabo ka Ashiyaana
Woh nayee raah dhundhte raha
aur Jingadi se dur chal pada

--
Kirtan


This was written in five minutes time.. A simple flow of idea without any cross thought... !!
aur haan, meri hindi bahut acchi nahi hai.. agar kuchh galat shabd ka prayog kiya ho to krupaya mujhe bata dijiye.. Bahut bahut Dhanyawad!!

5 comments:

Winnie the poohi said...

Raah mein bhatak kar nayi raah bena lete hai hum
Sirf khushi hi mile toh.. toh kya karenge saare gum ?

kirtan said...

Gam jaaye bhaad me to hame kya lena dena

bas ek khushi mil jaaye, thodi bahut dua de dena ;)


<<< lol.. apne joote, tamatar apne paas hi rakhna, mariyo mat :P >>

Winnie the poohi said...

Thodi khushi ho thode gum
Tab hogi zindagi mein dum
Bina namak ke na hota hai khana
Gum ke baad hi hota hai khushi ko aana ;)

Akanksha Yadav said...

...NICE.

kirtan said...

Thanks आकांक्षा :)

  © Blogger template Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP